Best 999+ Life Motivational Shayari | मोटिवेशनल शायरी | 2024

Life Motivational Shayari

Best 999+ Life Motivational Shayari | मोटिवेशनल शायरी | 2024

Friends, today we have brought you a crazy collection of life motivational shayari in Hindi with HD images that will give you courage and passion in your life because sometimes success is just one step away from you and you give up.As we all know, motivation or passion is very important for us to be successful in our whole lives, but there are a number of people who motivate us, but a lot of people will demotivate us, and most people do not have anyone in their life who makes their lives full of courage and passion.There are a lot of ups and downs in our lives; some make us strong, and some do not.

In such a situation, motivational thoughts or messages are the best way to make yourself motivated. Thats why today we have the best collection of life motivational poetry in Hindi and English: life motivational shayari sad/happy, life success motivational shayari, life motivational gulzar shayari, and students life motivational shayari.

Friends, follow this post till the end to get the following types of Best Life Motivational Poetry:

  • Latest Life Motivational Shayari
  • 2 Line Motivation in Life Shayari
  • Student Life Motivational Shayari
  • Best Motivational Shayari on Life
  • Life Motivational Shayari in Hindi And English
  • And much more...

Best Collection Of Life Motivational Shayari

Life motivational shayari is like a gentle push when you’re feeling low. It’s like a friend who whispers, “You can do it!” in your ear. These special words are like little sparks of hope that light up our hearts. They tell us that, even in tough times, there’s a way forward. Motivational shayari reminds us to believe in ourselves, to dream big, and to keep going, no matter what. It’s like a warm hug for our spirit, urging us to rise, face challenges, and conquer them with a smile. So, when life feels heavy, remember, motivational shayari is there to lift you up and help you find your strength again.

Life Motivational Shayari

Life Motivational Shayari
Life Motivational Shayari
मंजिलें क्या है, रास्ता क्या है?
हौसला हो तो फासला क्या है
Manzilein kya hai, raasta kya hai?
Hausla ho toh faasla kya hai
काम करो ऐसा कि एक पहचान बन जाए,
हर कदम ऐसा चलो कि निशान बन जाए,
यहां जिंदगी तो हर कोई काट लेता है,
जिंदगी जियो इस कदर कि मिसाल बन जाए।
Kaam karo aisa ki ek pehchaan ban jaaye,
Har kadam aisa chalo ki nishaan ban jaaye,
Yahan zindagi toh har koi kaat leta hai,
Zindagi jiyo is kadar ki misaal ban jaaye
ये जिंदगी हसीं है इससे प्यार करो,
अभी है रात तो सुबह का इंतजार करो,
वो पल भी आएगा जिसकी ख्वाहिश है आपको,
रब पर रखो भरोसा वक्त पर एतबार करो।
Ye zindagi haseen hai isse pyaar karo,
Abhi hai raat toh subah ka intezaar karo,
Wo pal bhi aayega jiski khwahish hai aapko,
Rab par rakho bharosa, waqt par etbaar karo
वक्त से लड़कर जो नसीब बदल दे,
इंसान वही जो अपनी तकदीर बदल दे,
कल क्या होगा कभी मत सोचो,
क्या पता कल वक्त खुद अपनी तस्वीर बदल ले।
Waqt se ladkar jo naseeb badal de,
Insaan wahi jo apni taqdeer badal de,
Kal kya hoga kabhi mat socho,
Kya pata kal waqt khud apni tasveer badal le
Life Motivational Shayari
Life Motivational Shayari
हवाओं के भरोसे मत उड़,
चट्टाने तूफानों का भी रुख मोड़ देती हैं,
अपने पंखों पर भरोसा रख,
हवाओं के भरोसे तो पतंगे उड़ा करती हैं।
Hawaon ke bharose mat ud,
Chattean toofano ka bhi rukh mod deti hain,
Apne pankhon par bharosa rakh,
Hawaon ke bharose to patange uda karti hain
बेहतर से बेहतर कि तलाश करो,
मिल जाए नदी तो समंदर कि तलाश करो,
टूट जाता है शीशा पत्थर कि चोट से,
टूट जाए पत्थर ऐसा शीशा तलाश करो।
ऊंचे ख्वाबों के लिए दिल की गहराई से,
काम करना पड़ता है यूंही नहीं मिलती सफलता,
मेहनत की आग में दिन-रात जलना पड़ता है ।
Behtar se behtar ki talash karo,
Mil jaaye nadi to samandar ki talash karo,
Toot jaata hai sheesha patthar ki chot se,
Toot jaaye patthar aisa sheesha talash karo.
Unche khwabon ke liye dil ki gehrai se,
Kaam karna padta hai yunhi nahi milti safalta,
Mehnat ki aag mein din-raat jalna padta hai
ये दुनिया का उसूल है जब तक काम है,
तब तक तेरा नाम है वरना दूर से ही सलाम है।
Ye duniya ka usool hai jab tak kaam hai,
Tab tak tera naam hai varna door se hi salaam hai.
अगर आपने एक बार ठान लिया,
कि आपको जीतना है तो आपको कोई रोक नहीं सकता,
चाहे वो ओलम्पिक की दौड़ हो या जिंदगी की।
Agar aapne ek baar than liya,
Ki aapko jeetna hai to aapko koi rok nahi sakta,
Chahe wo Olympics ki daud ho ya zindagi ki.
Life Motivational Shayari
Life Motivational Shayari
जिंदगी आसान नहीं बस खुद को मजबूत बनाना पड़ता है,
सही समय कभी आता नहीं उसको लाना पड़ता है।
Jindagi aasaan nahi, bas khud ko majboot banana padta hai,
Sahi samay kabhi aata nahi, usko laana padta hai
अच्छे दिन सिर्फ घर में बैठे रहने से,
या सिर्फ सोचने से नहीं आते,
बल्कि उसके लिए बुरे वक्त से लड़ना पड़ता है।
Acche din sirf ghar mein baithe rahne se,
Ya sirf sochne se nahi aate,
Balki uske liye bure waqt se ladna padta hai.
शौक उड़ान का रखते हो,
तो बाज बनो वरना यूं तो,
कव्वे भी आसमान में उड़ते बहुत देखें हैं।
Shauk udaan ka rakhate ho,
To baaz bano varna yun to,
Kavve bhi aasmaan mein udate bahut dekhe hain
Life Motivational Shayari
Life Motivational Shayari
हमेशा याद रखना,
सपने वो नहीं जो हमें नींद में आते हैं,
सपने तो वो होते हैं जो हमें नींद नहीं आने देते।
Hamesha yaad rakhna,
Sapne vo nahin jo hamein neend mein aate hain,
Sapne to vo hote hain jo hamein neend nahin aane dete
बिस्तर से इतना भी प्यार मत कीजिए,
कि मंजिल ख्वाब बनकर रह जाए।
Bistar se itna bhi pyaar mat kijiye,
Ki manzil khwaab bankar rah jaaye.
हर खुशी को खुशी मत समझो,
हर गम को गम मत समझो अगर इस दुनिया में जीना है,
तो खुद को किसी से कम मत समझो,
Har khushi ko khushi mat samjho,
Har gam ko gam mat samjho agar is duniya mein jeena hai,
To khud ko kisi se kam mat samjho

Life Motivational Shayari in English

Life Motivational Shayari in English
Life Motivational Shayari in English
Kai jeet baki hai kai haar baki hai
Abi to zindgi ka saar baki hai
Yaha se chale hai nayi manjil ke liye
Yeh ek panna tha abi to kitab baki hai
Khushi ek essa ahsas hai Jiski har kisi ko talash hai
Gum ek essa anubhav hai Jo sabke pass hai
Magar zindgi to vahi jeeta hai Jisko kud par vishwash hai
Ai dost, mat soch itna zindagi ke baare mein,
Jisne zindagi di hai, usne bhi to kuch socha hoga.
Life Motivational Shayari in English
Life Motivational Shayari in English
Yadi andhkaar se ladne ka sankalp koi kar leta hai,
To ek akela jugnu bhi sab andhkaar har leta hai.
Manzil to mil hi jayegi bhatakte bhatakte
Gumraah to woh hai jo ghar se nikale hi nahin.
Ye Zindagi Hasin Hai Iss Se Pyar Karo,
Abhi Hai Raat To Subah Ka Intezar Karo,
Life Motivational Shayari in English
Life Motivational Shayari in English
Wo Pal Bhi Ayega Jiski Khwahish Hai Aapko,
Rab Par Rakho Bharosa Waqt Par Aitbar Karo.
Hausle Bhi Kisi Hakeem Se Kam Nahi Hote,
Har Takleef Mein Takat Ki Davaa Dete Hain.
Ek Sooraj Tha Ki Taaro Ke Gharane Se Uthha,
Aankh Hairan Hai Kya Shakhs Zamane Se Uthha.
Life Motivational Shayari in English
Life Motivational Shayari in English
Yahi Soch Kar Har Tapish Mein Jalta Aaya Hoon,
Dhoop Kitni Bhi Tej Ho Samandar Nahi Sookha Karte.
Lakeerein Apne Haathon Ki Banana Humko Aata Hai,
Wo Koi Aur Honge Apni Kismat Pe Jo Rote Hain.
Kaam Karo Aisa Ki Ek Pehchaan Ban Jaye,
Har Kadam Aisa Chalo Ki Nishan Ban Jaye,
Yehan Zindagi To Har Koi Kaat Leta Hai,
Zindagi Jiyo Iss Kadar Ki Misaal Ban Jaye.
Life Motivational Shayari in English
Life Motivational Shayari in English
Deeya Bujhaane Ki Fitrat Badal Bhi Sakti Hai,
Koi Chirag Hawa Pe Dawaab To Daale.
Sukh-Dukh Ki Dhoop-Chhaanv Se Aage Nikal Ke Dekh,
Inn Khwaishon Ke Gaaon Se Aage Nikal Ke Dekh,
Toofan Kya Dubayega Teri Kashti Ko,
Aandhion Ki Hawaaon Se Aage Nikal Ke Dekh.
Udaasiyo Ki Wajah To Bahut Hain Zindagi Main,
Bewajah Khush Rehne Ka Mazaa Hi Kuchh Aur Hai.

You may also like!

Life Motivational Shayari in Hindi

Life Motivational Shayari in Hindi
Life Motivational Shayari in Hindi
चरागों तक को जहाँ मय्यसर नहीं रौशनी,
लौ उम्मीद की हमने वहाँ भी जलाये रक्खी।
Charaagon tak ko jahaan mayassar nahi roshni,
Lau ummeed ki hamne wahaan bhi jalaaye rakhi.
अब हवाएँ ही करेंगी रौशनी का फैसला,
जिस दिए में जान होगी वो दिया रह जाएगा !
Ab havaayen hi karenge roshni ka faisla,
Jis diye mein jaan hogi vo diya rah jaayega!
जो तूफानों में पलते जा रहे हैं,
वही दुनिया बदलते जा रहे हैं !
Jo toofaano mein palte ja rahe hain,
Wahi duniya badalte ja rahe hain
Life Motivational Shayari in Hindi
Life Motivational Shayari in Hindi
अकेले चलने का साहस रखो जनाब,
कामयाबी एक दिन आपके कदमो में होगी !
Akela chalne ka saahas rakho janaab,
Kaamyabi ek din aapke kadamon mein hogi
भँवर से कैसे बच पाया किसी पतवार से पूछो,
हमारा हौसला पूछो तो फिर मझधार से पूछो !
Bhanwar se kaise bach paaya kisi patwaar se pucho,
Hamaara hausla pucho to phir majhdhaar se pucho
जब पढ़ते-पढ़ते राते छोटी लगे,
तो समझ लेना जीत का जुनून,
सर पर सवार है !
Jab padhte-padhte raate chhoti lage,
To samajh lena jeet ka junoon, sar par savaar hai
Life Motivational Shayari in Hindi
Life Motivational Shayari in Hindi
हमको मिटा सके ये जमाने में दम नहीं,
हमसे जमाना खुद है जमाने से हम नहीं !
Humko mita sake ye zamane mein dam nahi,
Humse zamana khud hai zamane se hum nahi
रख हौसला वो मंजर भी आएगा,
प्यासे के पास चल के समुन्दर भी आएगा !
Rakh hausla vo manzar bhi aayega,
Pyaase ke paas chal ke samundar bhi aayega
क्यूँ डरें जिन्दगी में क्या होगा,
कुछ न होगा तो तजरबा होगा !
Kyun daren zindagi mein kya hoga,
Kuch na hoga to tajruba hoga
Life Motivational Shayari in Hindi
Life Motivational Shayari in Hindi
हम भी दरिया हैं हमें अपना हुनर मालूम है,
जिस तरफ भी चल पड़ेंगे रास्ता हो जाएगा !
Hum bhi dariya hain, hamein apna hunar maloom hai,
Jis taraf bhi chal padenge, raasta ho jaayega
अगर जिंदगी में सफलता पाना चाहते हो,
तो धैर्य को अपना सच्चा मित्र बना लो !
Agar zindagi mein safalta paana chahte ho,
To dhairya ko apna saccha mitr bana lo!
Life Motivational Shayari in Hindi
Life Motivational Shayari in Hindi
सोचने से कहाँ मिलते हैं तमन्नाओं के शहर,
चलना भी जरुरी है मंजिल को पाने के लिए !
Sochne se kahaan milte hain tamannao ke shehar,
Chalna bhi zaroori hai manzil ko paane ke liye
सबकुछ मिल जायेगा तो तमन्ना किसकी करोगे,
अधूरी ख्वाहिशें ही तो जीने का मजा देती हैं !
Sabkuch mil jaayega to tamanna kiski karoge,
Adhoori khwahishein hi to jeene ka maza deti hain
वक्त से लड़कर जो नसीब बदल दे,
इंसान वही जो अपनी तकदीर बदल दे !
Waqt se ladkar jo naseeb badal de,
Insaan wahi jo apni takdeer badal de!

Best Motivational Shayari on Life

Best Motivational Shayari on Life
Best Motivational Shayari on Life
खुल जाएँगे सभी रास्ते रूकावट से लड़ तो 
सही होगा साहिल पर तू जिद्द पर अड़ तो सही।
Khul jaayenge sabhi raaste, rokaavat se lad to
Sahi hoga saahil par tu, jidd par aḍ to sahi
यूँ ज़मीन पर बैठकर क्यों आसमान देखता 
हैपंखो को खोल ज़माना सिर्फ उड़ान देखता है
Yun zameen par baithkar kyun aasmaan dekhta hai
Pankho ko khol zamaana, sirf udaan dekhta hai
सपना एक देखोगे मुश्किलें हजार आएंगीलेकिन वो
मंजर बड़ा खूबसूरत होगाजब कामयाबी शोर मचाएगी।
Sapna ek dekhoge, mushkilen hajaar aayengi
Lekin vo manzar bada khoobsurat hoga
Jab kaamyabi shor machaayegi
Best Motivational Shayari on Life
Best Motivational Shayari on Life
हथेली पर रखकर नसीब तू क्यों अपना मुकद्दर ढूंढता है ..सीख उस समंदर से .. जो टकराने के लिए .. पत्थर ढूंढता है
Hatheli par rakhkar naseeb tu kyun apna mukaddar dhoondhta hai
Sikh us samandar se, jo takraane ke liye, patthar dhoondhta hai
सीढ़ियां उन्हें मुबारक हों,जिन्हें सिर्फ छत तक जाना है,
मेरी मंज़िल तो आसमान है,रास्ता मुझे खुद बनाना है।
Seediyan unhein mubaarak ho, jinhein sirf chat tak jaana hai
Meri manzil to aasmaan hai, raasta mujhe khud banana hai.
जिसने भी किया है कुछ बड़ावो
 कभी किसी से नहीं डरा।
Jisne bhi kiya hai kuch bada
Kabhi kisi se nahin dara
Best Motivational Shayari on Life
Best Motivational Shayari on Life
कई लोग मुझको गिराने मे लगे हैं,सरे आम चिराग बुझाने मे लगे हैं,उन से कह दो क़तरा नही मैं? समुंद्र हूँ,डूब गये वो ख़ुद जो डुबाने मे लगे हैं।।
Kai log mujhko giraane mein lage hain, sare aam chirag bujhaane mein lage hain
Unse keh do, qatra nahin main? Samundar hoon, doob gaye vo jo dubaane mein lage hain
लाखों ठोकरों के बाद भी संभलता रहूँगा,
गिरकर फिर से उठूगा और चलता रहूँगा.
Laakhon thokaron ke baad bhi sambhalta rahunga
Girkar phir se uthunga aur chalta rahunga
चलता रहूँगा पथ पर चलने में माहिर बन जाऊंगा
 ..या तो मंजिल मिल जायेगी या अच्छा मुसाफिर बन जाऊंगा
Chalta rahunga, path par chalne mein mahir ban jaunga
..Ya to manzil mil jaayegi ya accha musafir ban jaunga.
Best Motivational Shayari on Life
Best Motivational Shayari on Life
सोचने से कहां मिलते हैं तमन्नाओं के शहरचलना
 भी जरूरी है मंजिल पाने के लिए…
Sochne se kahaan milte hain tamannao ke shehar
Chalna bhi zaroori hai manzil paane ke liye
मुश्किल इस दुनिया में कुछ भी नहीं,फिर भी लोग इरादे तोड़ देते हैं,अगर दिल में हो कुछ करने की चाहत,तो सितारे भी अपनी जगह छोड़ देते हैं।
Mushkil is duniya mein kuch bhi nahin, phir bhi log iraade tod dete hain
Agar dil mein ho kuch karne ki chaahat, to sitare bhi apni jagah chhod dete hain.
जल को बर्फ़ में बदलने में वक्त लगता है,सूरज को निकलने में वक्त लगता है,किस्मत को तो हम बदल नही सकते,लेकिन अपने हौसलो से किस्मत बदलने में वक्त लगता है।
Jal ko barf mein badalne mein waqt lagta hai, sooraj ko nikalne mein waqt lagta hai
Kismat ko to hum badal nahi sakte, lekin apne hauslon se kismat badalne mein waqt lagta hai.
मुश्किलों से भाग जाना आसान होता हैहर पहलू जिंदगी का इम्तिहान होता हैडरने वालों को मिलता नहीं कुछ जिंदगी मेंलड़ने वालों के कदमों में जहान होता है
Mushkilon se bhaag jaana aasaan hota hai
Har pehlu zindagi ka imtehaan hota hai
Darrne waalon ko milta nahi kuch zindagi mein
Ladne waalon ke kadamon mein jahaan hota hai
रख हौसला वो मंजर भी आयेगाप्यासे के पास चलकर समंदर भी आयेगाथककर न बैठ मंजिल के मुसाफिरमंजिल भी मिलेगी और मिलने का मजा भी आयेगा।।
Rakh hausla vo manzar bhi aayega
Pyaase ke paas chal kar samandar bhi aayega
Thakk kar na baith manzil ke musafir
Manzil bhi milegi aur milne ka maza bhi aayega
मुश्किलों से कह दो उलझा ना करें हमसेहमें
 हर हाल में जीने का हुनर आता है।
Mushkilon se kah do uljha na karein humse
Hamein har haal mein jeene ka hunar aata hai.

Student Life Motivational Shayari

Student Life Motivational Shayari
Student Life Motivational Shayari
थक गये पैर लेकिन हिम्मत नहीं हारी,
जज्बा है जीने का, सफर है अभी जारी।
Thak gaye pair, lekin himmat nahin haari,
Jazba hai jeene ka, safar hai abhi jaari.
सीख ली जिसने अदा गम में मुस्कुराने की,
उसे क्या मिटायेंगी गर्दिशें जमाने की।
Sikh li jisne ada gham mein muskurane ki,
Use kya mitayengi gardishein zamane ki.
समाधान हर मुश्किल का है।
बस आहिस्ते से सीचने कि ज़रूरत है।
ज़िंदगी में कुछ भी मुश्किल नहीं
बस एक बार कोशिश करने कि ज़रुरत है।
Samadhan har mushkil ka hai.
Bas aahiste se seene ki zaroorat hai.
Zindagi mein kuch bhi mushkil nahi,
Bas ek baar koshish karne ki zarurat hai
Student Life Motivational Shayari
Student Life Motivational Shayari
काफी अभी इम्तिहान बाकी हैं,
युद्ध का अभी आगाज बाकी है,
तोड़ती हैं मुसिबतें तो तोड़ने दो,
हौसलों में भी अभी जान बाकी है।”
Kaafi abhi imtehan baaki hain,
Yudh ka abhi aagaaz baaki hai,
Todti hain musibatein to todne do,
Hauslon mein bhi abhi jaan baaki hai
 बदल जाओ वक्त के साथ या वक्त बदलना सीखो,
मजबूरियों को मत कोसो हर हाल में चलना सीखो।
Badal jao waqt ke saath ya waqt badalna seekho,
Majbooriyon ko mat koso har haal mein chalna seekho.
ठहर के पाँव के काँटे निकालने वाले,
ये होश है तो जुनूँ कामयाब क्या होगा।
Thehar ke paav ke kaante nikaalne waale,
Ye hosh hai to junoon kaamyaab kya hoga
बुलंद हो होंसला तो मुट्ठी में हर मुकाम है,
मुश्किले और मुसीबते तो जिंदगी में आम हैं,
जिंदा हो तो ताकत रखो बाजुओ में तैरने की,
क्योकि लहरो के साथ बहना तो लाशो का काम है।
Buland ho hausla to mutthi mein har mukaam hai,
Mushkilein aur musibatein to zindagi mein aam hain,
Zinda ho to taakat rakho baajuo mein tairne ki,
Kyunki lehron ke saath behna to laashon ka kaam hai.
Student Life Motivational Shayari
Student Life Motivational Shayari
दुनिया जो इतनी तेजी से बदल रही है,
केवल एक निर्णय जिसका फ़ैल होना तय हैं।
वो है रिस्क न लेना.
Duniya jo itni tezi se badal rahi hai,
Keval ek nirnay jiska fail hona tay hai.
Wo hai risk na lena.
वाक़िफ़ कहाँ ज़माना हमारी उड़ान से,
वो और थे जो हार गए आसमान से।
Waakif kahan zamana hamari udaan se,
Wo aur the jo haar gaye aasmaan se
आँधियों में भी जो जलता हुआ मिल जाएगा,
उस दीये से पूछना, मेरा पता मिल जाएगा।
Aandhiyon mein bhi jo jalta hua mil jayega,
Us diye se poochna, mera pata mil jayega
हार तब होती है जब मान लिया जाये
जीत तब होती है जब ठान लिया जाये।
Haar tab hoti hai jab maan liya jaaye,
Jeet tab hoti hai jab thaan liya jaaye
Student Life Motivational Shayari
Student Life Motivational Shayari
हाथ बाँधे क्यों खड़े हो हादसों के सामने,
हादसे कुछ भी नहीं हैं हौसलों के सामने।
Haath baandhe kyun khade ho haadson ke samne,
Haadse kuch bhi nahi hain hauslon ke samne.
जो मेहनत पे भरोसा
करते हैं…
वो किस्मत की बात कभी
नही करते…!!
Jo mehnat pe bharosa karte hain,
Wo kismat ki baat kabhi nahi karte!
टुटी कलम और,
औरो से जलन,
खुद का भाग्य लिखने
नहीं देती…!!
Tuti kalam aur,
Auro se jalna,
Khud ka bhagya likhne
Nahi deti!!

बातों से दिल जीतना सभी का,
अच्छे दोस्त अच्छी संगत होगी…
सफलता आपके कदमों में,
चेहरे पर मुस्कान और
सुनहरी रंगत होगी…!!
Baaton se dil jeetna sabhi ka,
Acche dost acchi sangat hogi.
Safalta aapke kadamon mein,
Chehre par muskaan aur
Sunehri rangat hogi!!

2 Line Motivation in Life Shayari

2 Line Motivation in Life Shayari
2 Line Motivation in Life Shayari
ठोकर नहीं खाओगे तो कैसे पता चलेगा कि
आप पत्थर के बने हैं या शीशे के
Thokar nahi khaoge toh kaise pata chalega ki
Aap patthar ke bane hain ya sheeshe ke.
जीतने के लिए जरूरी है
आपका ज़िद्दी होना
Jeetne ke liye zaroori hai
Aapka ziddi hona.
रास्ते कभी खत्म नहीं होते,
बस लोग हिम्मत हार जाते हैं।
Raaste kabhi khatam nahi hote,
Bas log himmat haar jaate hain
खुद में वो बदलाव लाईये !
जो आप दूसरों में देखना चाहते हैं !!
Khud mein vo badlaav laiye!
Jo aap doosron mein dekhna chahte hain!
2 Line Motivation in Life Shayari
2 Line Motivation in Life Shayari
झूठी बातों पे जो वाह वाह करेंगे
वही लोग आपको तबाह करेंग
Jhooti baaton pe jo wah wah karenge
Vahi log aapko tabaah karenge
प्रगति हमेशा सभी सुख-सुविधाओं को
त्याग कर होती है
Pragati hamesha sabhi sukh-suvidhaon ko
Tyag kar hoti hai.
जितने ख़राब हालातो से आप लड़ेंगे,
कामयाबी उतनी ही बड़ी होगी
Jitne kharab haalaaton se aap ladenge,
Kamyabi utni hi badi hogi.
कठिन सड़कें हमेशा
खूबसूरत जगह की ओर ले जाती हैं
Kathin sadakein hamesha
Khoobsurat jagah ki aur le jaati hain.
2 Line Motivation in Life Shayari
2 Line Motivation in Life Shayari

रफ्तार धीमी ही सही मगर
उड़ान जरूर लंबी रखो
Raftaar dheemi hi sahi magar
Udaan zaroor lambi rakho
हीरे को परखना है तो अँधेरे का इंतज़ार करो,
धुप में तो काच के टुकड़े भी चमकते है
Heere ko parkhna hai to andhere ka intezaar karo,
Dhoop mein to kaach ke tukde bhi chamakte hain.
सफलता सही निर्णय के बाद आती है
और सही निर्णय असफलता के बाद
Safalta sahi nirnay ke baad aati hai
Aur sahi nirnay asafalta ke baad.
अभी से वो होना शुरू कीजिये !
जो आप भविष्य में होंगे
Abhi se vo hona shuru kijiye!
Jo aap bhavishya mein honge
अभी से वो होना शुरू कीजिये !
जो आप भविष्य में होंगे
Abhi se vo hona shuru kijiye!
Jo aap bhavishya mein honge.
2 Line Motivation in Life Shayari
2 Line Motivation in Life Shayari
घायल तो यहाँ, हर एक परिंदा है
मगर जो फिरसे उड़ सका वही जिन्दा है।
Ghayal to yahaan, har ek parinda hai
Magar jo phir se uda sakaa wahi zinda hai.

चमक सबको नज़र आती है,
अँधेरा कोई नहीं देख पाता
Chamak sabko nazar aati hai,
Andhera koi nahi dekh pata.

Best Life Motivational Shayari

Best Life Motivational Shayari
Best Life Motivational Shayari
तुम अपनी नज़र में अच्छे रहो ,
ज़माने की नज़र तो खराब भी हो सकती है
Tum apni nazar mein acche raho,
Zamane ki nazar toh kharab bhi ho sakti hai.
बाहर से जितनी ठोकर लगेगी ,
तुम्हारे अंतर को उतना कठोर करेगी
Bahar se jitni thokar lagegi,
Tumhare antar ko utna kathor karegi
खुद को सही साबित करने की होड़ में ,
लोग दूसरो को गलत साबित करने में कतराते नहीं है
Khud ko sahi sabit karne ki hod mein,
Log doosro ko galat sabit karne mein katrate nahi hai.
जब कुछ पाने का फितूर
तो उस चीज़ का मिलना ना दूर होगा
Jab kuch paane ka fitoor,
Toh us cheez ka milna na door hoga
Best Life Motivational Shayari
Best Life Motivational Shayari
जिसके होठो पर मुस्कान बस्ती है ,
उसके चेहरे पर ना ज़िंदगी की थकान दिखती है
Jiske hotho par muskaan basti hai,
Uske chehre par na zindagi ki thakan dikhti hai
वक़्त की धार तेज़ है ,
कि बड़े से बड़े ज़ख्म को काट देती है
Waqt ki dhaar tez hai,
Ki bade se bade zakham ko kaat deti hai
जीने वालो के लिए ज़िंदगी एक मज़ा है ,
रोने वालो के लिए ज़िंदगी ज़ाहिर एक सजा है
Jeene walo ke liye zindagi ek maza hai,
Rone walo ke liye zindagi zahir ek saja hai.
जो वक़्त बीत गया उसकी क्या बात करे ,
जो वक़्त आज है चलो उससे मुलाकात करे
Jo waqt beet gaya uski kya baat kare,
Jo waqt aaj hai chalo usse mulaqat kare.
Best Life Motivational Shayari
Best Life Motivational Shayari
ज़िंदगी जीने के लिए चलो कुछ उसूल बनाते है ,
कुछ अच्छा याद रखते है कुछ बुरा भूल जाते है
Zindagi jeene ke liye chalo kuch usool banate hai,
Kuch accha yaad rakhte hai, kuch bura bhool jaate hai.
कोई ज़िंदगी तब तक ख़ास नहीं होती ,
जब तक उसके परेशानिया पास नहीं होती
Koi zindagi tab tak khaas nahi hoti,
Jab tak uske pareshaniya paas nahi hoti

बुलंदियों के झुकने का तो इंतज़ार कर रहे हो ,मगर अपनी मेहनत से ऊंचा होने का ना प्रयास कर रहे

Bulandiyo ke jhukne ka to intezar kar rahe ho,
Magar apni mehnat se uncha hone ka na prayas kar rahe ho.
तू रख यकीन बस अपने इरादों पर,
तेरी हार तेरे हौसलों से तो बड़ी नहीं होगी।
Tu rakh yakeen bas apne iraadon par,
Teri haar tere hauslon se to badi nahi hogi.
Best Life Motivational Shayari
Best Life Motivational Shayari
हौसलों पर अपने जो ऐतबार करते हैं उन्हें,
मंज़िलें खुद पते बताती हैं रास्ते इंतज़ार करते हैं।
Hauslon par apne jo aitbaar karte hain unhe,
Manzilein khud pate batati hain raaste intezar karte hain.
वो लड़ेंगे क्या कि जो खुद पर फ़िदा हैं,
हम लड़ेंगे... हम ख़ुदाओं से लड़े हैं।
Wo ladenge kya ki khud par fida hain,
Hum ladenge... hum khudaon se lade hain.
दुआ करो कि सलामत रहे मेरी हिम्मत,
यह एक चिराग कई आँधियों पे भारी है।
Dua karo ki salaamat rahe meri himmat,
Yeh ek chiraag kai aandhiyon pe bhari hai.

Latest Life Motivational Shayari

Latest Life Motivational Shayari
Latest Life Motivational Shayari
ख़ुदी को कर बुलंद इतना कि हर तक़दीर से पहले
ख़ुदा बंदे से ख़ुद पूछे बता तेरी रज़ा क्या है
Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer se pehle,
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
हम भी दरिया हैं हमें अपना हुनर मालूम है
जिस तरफ भी चल पड़ेंगे रास्ता हो जाएगा
Hum bhi dariya hain, hamein apna hunar maloom hai,
Jis taraf bhi chal padenge, raasta ho jaayega.
तू शाहीं है परवाज़ है काम तेरा
तिरे सामने आसमाँ और भी हैं
Tu shaahi hai, parwaz hai kaam tera,
Tere saamne aasmaan aur bhi hain.
मंज़िलें क्या हैं, रास्ता क्या है
हौसला हो तो फ़ासला क्या है
Manzilein kya hain, raasta kya hai,
Hausla ho toh faasla kya hai
Latest Life Motivational Shayari
Latest Life Motivational Shayari
हज़ार बर्क़ गिरे लाख आँधियाँ उट्ठें
वो फूल खिल के रहेंगे जो खिलने वाले हैं
Hazaar bark gire, laakh aandhiyaan utthen,
Wo phool khil ke rahein ge jo khilne waale hain.
कोशिश भी कर उमीद भी रख रास्ता भी चुन
फिर इस के ब'अद थोड़ा मुक़द्दर तलाश कर
Koshish bhi kar, umeed bhi rakh, raasta bhi chun,
Phir iske baad thoda muqaddar talaash kar.
कैसे आकाश में सूराख़ नहीं हो सकता
एक पत्थर तो तबीअ'त से उछालो यारो
Kaise aakaash mein soorakh nahi ho sakta,
Ek patthar to tabiyat se uchhalo yaaro
अब हवाएँ ही करेंगी रौशनी का फ़ैसला
जिस दिए में जान होगी वो दिया रह जाएगा
Ab hawaayein hi karengi raushni ka faisla,
Jis diye mein jaan hogi wo diya reh jaayega.
क्यों डरें ज़िन्दगी में क्या होगा
कुछ न होगा तो तज़रबा होगा
Kyon dare zindagi mein kya hoga,
Kuch na hoga toh tajurba hoga.
Latest Life Motivational Shayari
Latest Life Motivational Shayari
मिरे जुनूँ का नतीजा ज़रूर निकलेगा
इसी सियाह समुंदर से नूर निकलेगा
Mere junoon ka natija zaroor niklega,
Isi siyah samundar se noor niklega.
जो तूफ़ानों में पलते जा रहे हैं
वही दुनिया बदलते जा रहे हैं
Jo toofanon mein palte jaa rahe hain,
Wahi duniya badalte jaa rahe hain.
हम को मिटा सके ये ज़माने में दम नहीं
हम से ज़माना ख़ुद है ज़माने से हम नहीं
Humko mita sake yeh zamaane mein dam nahi,
Humse zamana khud hai, zamane se hum nahi.
Latest Life Motivational Shayari
Latest Life Motivational Shayari
तुम कल की ज़्यादा सोचोगे ,
ध्यान आज पे से हट जाएगा
Tum kal ki zyada sochoge,
Dhyaan aaj se hat jaayega.
ज़िंदगी उलझेगी नहीं
फिर सुलझेगी कैसे ,
ज़िंदगी बिखरेगी नहीं
फिर निखरेगी कैसे
Zindagi uljhegi nahi,
Phir suljhegi kaise,
Zindagi bikhregi nahi,
Phir nikharagi kaise.
जला कर राख कर दिया करो उन ख्यालो को ,
जो तुम्हारी ज़िंदगी सुलगाते रहते है
Jala kar raakh kar diya karo un khayaalon ko,
Jo tumhari zindagi sulgate rehte hain

You may also like!

Final Words:

Friends, we hope you like our life motivational shayari in Hindi, and we hope it gives you some passion and courage to move forward even though there are a lot of problems in your life. If it did, then let us know in the comment section and also share this post with your friends and family on social platforms such as WhatsApp, Facebook, and Instagram to motivate them as well.

Frequently Asked Questions:

Life motivational shayari is a form of poetic expression that aims to inspire, uplift, and provide encouragement. It often contains profound and motivational messages designed to boost one’s morale and outlook on life.

Motivational shayari can provide emotional support and encouragement during challenging times. It serves as a source of inspiration, helping individuals to stay positive, focused, and motivated in their pursuits.

There are many renowned poets who have excelled in creating motivational shayari. Some notable names include Mir Taqi Mir, Allama Iqbal, Gulzar, and Javed Akhtar in Urdu poetry, and Robert Frost, Maya Angelou, and Rumi in English poetry.

Life motivational shayari can be found in various forms, including books, websites, social media platforms, and even spoken word performances. Many poets and enthusiasts share their work on platforms like Instagram, Twitter, and YouTube.

 Absolutely! Writing your own motivational shayari can be a wonderful way to express your feelings and inspire others. You don’t need to be a professional poet to convey meaningful messages. It’s a personal and creative process that can be both therapeutic and empowering.

Rate this post

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *